Bad bahkt kismat main Kahan uska sath likha tha, Par hum kismat se ladne ko tayiaar the, use mera Be-adab tareka napasand tha, Toh hum khud ko badalne ko tayiaar the , Magar uska saath na mila, zindagi jeene ka ehsaas na mila, To fasurdagi main kho gaya main, Bahar se kush Aur andar se Ro gaya main, Tab yakbayak ye khayal aaya Ke , mohobbat us se hamne hi ki thi, Isme uska koi haath na tha, Ye toh ek tarfa pyaar tha mera jisme kabhi uska saath na tha, Aur Apni is haalat ka main khud hi zimmedar hoon, Par kyaar karoon vo cheez hi aisi ho jise paane ke liye main hamesha bekaraar hoon, Jise paane ke liye main hamesha bekaraar hoon..... Bad bahkt - unfortunate Be-adab - Manerless Fasurdagi - Depression Yakbayak - Suddenly
Comments
Post a Comment