Skip to main content
Bad bahkt kismat main
Kahan uska sath likha tha,
Par hum kismat se ladne ko tayiaar the,

use mera Be-adab tareka napasand tha,
Toh hum khud ko badalne ko tayiaar the ,
Magar uska saath na mila,
zindagi jeene ka ehsaas na mila,
To fasurdagi main kho gaya main,
Bahar se kush Aur andar se Ro gaya main,
Tab yakbayak ye khayal aaya
 Ke ,
  mohobbat  us se hamne hi ki thi,
Isme uska koi haath na tha,
Ye toh ek tarfa pyaar tha mera  

jisme kabhi uska saath na tha,
Aur Apni is haalat ka main khud hi zimmedar hoon,
Par kyaar karoon vo cheez hi aisi ho jise paane ke liye main hamesha bekaraar hoon,
Jise paane ke liye main hamesha bekaraar hoon.....


Bad bahkt - unfortunate
Be-adab - Manerless
Fasurdagi - Depression
Yakbayak - Suddenly















Comments

Popular posts from this blog

Na karo itni Ghuloo mohobbat, ki koi tumhari zof ban jayee Lekin karo itni mohobbat,  ki tumhari wafa ek hikayaat ban jae. Ghuloo - excess Zof - weakness Hikayat - story